Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein
Hai
Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein
Hai
…………
Doriya Bhi Chut Gayi Hai, Sapane Bhi
Rooth Gaye Hai,
Kya Hua Bismil Tumahe, Tum bhi kuch Yu
Rooth Gaye Ho,
Armano Ki Loriya Kuch Aisi Hamari Rooth
Gayi,
Jaise Ki Sapano Ke Sang Neend Hamari Uth
Gayi,
Ab to Gogale Wala Bhi Collar Uta Ke Neta
Ban Gaya,
Banate Banate Dekho Sala Kaisa Uska Jalwa
Chal Gaya,
Inquilab Ka Nara Kuch Aisa Hum bhi Dahade
Ai Sanam,
Gireban Me Jhaka to Kuch Toot Gaya Hamara
Bhi Bharam,
Abala To Kahate Thak Gayi Kyu Tu Na Karata
Apana Karam,
Hum To Bole Hamase Na Saha Jayega Yeh
Sitam, Humako to Aati Hai Kuch Yu Saram,
Oh Rey Bismil Kash Dekhate Aaj Ka
Hindustan,
Khilkhilate Relo Se Ban Gaya Sannate Ka
Kabarstan,
Rah Hamari Bhatak Gayi Hai, Kadam Hamare
Tham Gaye Hai,
Oh Rey Bismil Na Tum Aate Na Hoti Humako
Yu Sarmindagi,
Do Pal Ki Yeh Jindagi Hamari, Do Pauvo Me
Loot Gayi,
Jwala Jo Tumane Thi Jalai, Chingari Usaki
Bhuj Gai,
Ab To Jwala Jalati Bas, Hamare Cigerato
Ke Challo Mai,
Sarfaroshi Ki Tamanna, Ab Hamari Ret Si
kho Gayi,
Zindagi To Hamari, Bas Hawas Me Kho Gayi,
Waqt Aane Pe Bata Denge Tujhe Hai Aasmaan
Kya Baatein Hum Junoonein Shok Kis Manzil
Mein Hai…
Ajay R Yadav (Inspired by Ram Prasad
Bismil)
No comments:
Post a Comment
Thank You.